Ads 468x60px

Labels

Nepali N Hindi Sayari

A.1. Arz kiya he... tera chehraa moti samaan... tera chehraa moti samaan... moti hamaar kutta ka naam.




2. Aansu ke girne ki aahat nahi hoti, Dil ke tootne ki awaaz nahi hoti, Agar hota khuda ko ehsaas dard ka,  to use dard dene ki Aadat nahi hoti..


3. Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum, Bas yahi ek wada nibha payenge hum.
    Mita denge khud ko bhi jahan se lekin, Tera naam dil se na mita payenge hum.


4. Mohobbat ka imtihan aasan nahi; pyar sirf pane ka naam nahi. Muddatein beet jati hain kisi ke
    intezaar mein, ye sirf pal-do-pal ka kaam nahi.


5. Na jaane tum pe itna yakin kyon he? Tera khayal bhi itna haseen kyon he? Suna hai Pyar ka dard
    meetha hota he; to aankh se nikla ye aansu namkeen kyon hai


6. Kadam kadam pe baharon ne saath chhoda, zaroorat padne par yaaron ne saath chhoda, vaada
    kiya sitaron ne saath dene ka, subah hone par sitaron ne bhi saath chhoda.


7. Bolti he dosti, chup rehta he pyar. Hasati he dosti, rulata he pyar. Milati he dosti, juda karta he
    pyar. Phir bhi kyun dosti chodkar log karte he pyar??


8. Aey mere SMS mere dost ke pass jana,
    Agar wo so raha ho to shor mat machana,
    Jab wo jage to dhire se 'Muskarana',
    Phir kehna "KANJUS" SMS karo!


9. Kya lekar aaya tha? Kya lekar jayega? Mujhe SMS na karke zaalim,
    Tu kitna chillar bachayega?


10. Pyara sa ehsas ho tum, har pal mere pas ho tum, Jine ki ek aas ho tum, mann ka ek vishwas ho tum,
      Shayad is liye.... Kuch khas ho tum.


11. Hum dua karte he Khuda se, ki wo aap jaisa dost aur na banaye,
     Ek Cartoon jaisi chiz hai humare paas,
     kahin wo bhi common na ho jaye!


12. Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye, Zindagi ki akhari sham aa jaye, Hum toh dhundhte he
      waqt aisa jab, Hamari zindagi apke kam aa jaye.


13. Bahut dur magar bahut paas rehte ho, Aankho se dur magar dil ke paas rehte ho,
      Mujhe bas itna bata do kya tum bhi mere bina udaas rehte ho?


14. Kuch nasha to aapki baat ka he, kuch nasha to dheemi barsaat ka he, humein aap yun hi sharabi
      na kahiye, is dil par asar to aap se mulakat ka hai!


15. Chand lamhon ki zindagani he, nafraton se jiya nahi karte, lagta hai dusamanon se guzarish
      karni padegi, dost to aab yaad kiya nahi karte


16. Message pe message bhejti ho,bhej kar bheja kharab karti ho,bhejti ho to bhi kya bhejti ho,
     khud to samjti nahi ho,dusre ka bheja kharab karati ho.


   17. Takdir hai magar kismat nahi khulti,Taj Mahal banana chahata hoon lekin
                               Mumtaz he ki marti hi nahi.


  Hi,there again. If you have any  Nepali N Hindi Sayari like these please send us using comment box below providing your E-id . Your name and address is optional.....


2 comments:

Post a Comment